Friday, July 10, 2009

Arz Kya Hai...

1. Tumse doori ka ehsaas jab satane laga,
Tere saath guzra har lamha yaad aane laga,
Jabbhi tumhe bhulne ki koshish ki,
Ae dost tu dil ke aur paas aane laga…..

2. Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya….

3. Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte……

4.
Har ek muskurahat muskan nahin hoti,
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahin hoti.
Aansu gam ke aur Khushi ke ek se hote hain,
Magar inki pehchaan aasan nahin hoti.................

5.
Tairna hai to samundar mein tairo,
Nadi naalo mein kya rakha hai,
Mohabbat karni hai to apne watan se karo,
In bewafa hasino mein kya rakha hai......

No comments: